tum kya jaano pyaar mohabbat ishq nibhana kya hota hai
tum kya jaano rasta takte umr bitana kya hota hai
masjid mandir girja-ghar meƱ ashk bahana kya hota hai
tum kya jaano raat tahajjud haath uThana kya hota hai
ḳhud ko miTTī miTTī kar ke aaheñ girya zaarī shor
tum kya jaano rūThne vaale yaar manana kya hota hai
tum kya jaano zaḳhmī añkheñ ḳhvab bikhar jaane ka dukh
tum kya jaano hijr ke aañsū dard uThana kya hota hai
jaan se pyare de kar tum ko jaan mana luuƱ bolo bhī
tum kya jaano jaan se pyare jaan se jaana kya hota hai
tum kya jaano pyar mohabbat ishq nibhana kya hota hai