rū-ba-rū phir se us kī añkheñ thiiñ
phir se mushkil meñ ye mira dil tha
us se iz.har kar sakī na maiñ
jo mirī sha.irī ka hasil tha
jo masīha tha merī bastī meñ
ik vahī shaḳhs mera qatil tha
us kī añkhoñ ka dosh tha saara
ruuh chhalnī thī dil bhī gha.il tha
us ko fursat nahīñ thī sunñe kī
haal kahna bhī us se mushkil tha
na maiñ bolī na us ne pūchha kuchh
maiñ bhī ziddī thī vo bhī pagal tha
dil pe rakhta vo haath sun leta
vo mirī dhaḌkanoñ meñ shamil tha
nīm-shab meñ tha vo duaoñ meñ
tar-ba-tar añsuoñ meñ añchal tha
merī añkheñ bhī paḌh saka na vo
haa.e vo shaḳhs kitna pagal tha
us ke hathoñ meñ thī shifa lekin
dard mera hī ab musalsal tha
phir mira mas.ala hī aisa tha
merī mushkil ka ek hī hal tha
bhuul jaatī use ‘kañval’ lekin
bhuul jaana bhī us ko mushkil tha
ru-ba-ru phir se uski aankhen thin